Tariq Hamid and his ensemble performed musical version of Faiz’s works, including this rousing version of “Hum Dekhain Gey”
-_-_-_-_- Pakistanimusic.com -_-_-_-_-
Courtsey: Mazhar Ali
Hum Dekhen Ge, Iqbal Bano
Hum Dekhen Gey
Laazim Hai Ke Hum Bhi Dekhen Gey
Hum Dekhen Gey
Woh Din Ke Jiska Waada Hai
Hum Dekhen Gey
Jo Loh-e-azal Main Likha Hai
Hum Dekhen Gey
Jab Zulm-o-sitam Ke Koh-e-garaan
Rooyee Ki Terha Urr Jayen Gey
Hum Mehkoomon Ke Paaoon Taley
Yeh Dharti Dhar Dhar Dharkey Gi
Aur Ahl-e-hakam Ke Sir Ooper
Jab Bijli Kar Kar Karkey Gi
Hum Dekhen Gey
…………..
Jab Arz-e-khuda Ke Kaabey Se
Sub Butt Uthwaaye Jayen Gey
Hum Ahl-e-safaa Mardood-e-haram
Masnad Pe Bithaaye Jayen Gey
Sub Taj Uchaaley Jayen Gey
Sub Takht Giraaye Jayen Gey
Hum Deken Gey
………….
Buss Naam Rahey Ga Allah Ka
Jo Ghaayeb Bhi Hai Haazir Bhi
Jo Naazir Bhi Hai Manzar Bhi
Uthey Ga Anal Haq Ka Naara
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho
Aur Raj Karey Gi Khalq-e-khuda
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho
Hum Dekhen Gey
Laazim Hai Ke Hum Bhi Dekhen Gey
Hum Dekhen Gey
Hum Dekhen Gey
Hum Dekhen Gey
Hum Dekhen Gey